Tuesday, August 22, 2006

bas yun hi...

na jane kis mod per humare raaste alag ho jayen
hum kisi aap kisi aur, bhid mein kho jayen
jab tak hi saath aayiye saath hussen gayen
iss ittifak-e-mulakaat ko ek khubsoorat yaad bana jayen


kismat ne milaya humen kismat hai humari
hum aap dost bane rehmat hai khuda ki
saath nibha ke yahaan tak,ab bhula na dijiyega hume
bas itni hi aarju hai aapse humari..

tumse milne se pehle yeh dil udaas tha, aaj bhi hai
tumse milne se pehle andheri her shaam thi, aaj bhi hai
tum chod gaye mera saath yu
isse anjaan dil us raat tha, aaj bhi hi....
(/iska gum mujhe na us raat tha, na aaj hi hai)

shab ho tum subah ho tum
jidhar nazar jaye wahaan ho tum
tumhe khone se pehle maut aa jaye
aakhir mere jine ki wajah ho tum

ruk jaata hun mein yuh hi chalte chalte
tham jaati hai dil ki dhadkan dhadakte dhadakte
kitna samjhaya dil e nadan ko, na yaad kare tujhe
aa hi jati hai aap ki yaad shaam dhalte dhalte...

jalne mein kya maza hai parwaana hi jaane
chand ko mehboob chakor hi maane
muhhabat bhi har kisi ke bas ki baat nahi
muhhabat kya saza hai koi aashiq hi jaane

hume bhi yad karta hai, koi jaan kar acha laga
kisi ko hota hai her lmha intejaar humara, jaan kar acha laga
yu hi jiye ja rahe they zindgi bina rah bina manjil k
aap jesa humsafar dega saath humara jaan kar acha laga


gum ke sagar mein akele they hum
kya pata tha aapka sahara mil jaayega
ab aapki aadat si ho gayi to
kya pata tha itni jaldi kinara mil jaayega

aksar yun hi saath chalte chalte
jaag jate hain ehsaas ek doosre ke vaaste
humsafar ho agar aapsa koi
manjilo se jyada yaad aate hain raaste


badi muddat se ek baat dabi hai dil mein
kehne ka muaka to tha magar alfaaz na mile
aaj mauka bhi mil gaya alfaaz bhi mil gaye
per khel meri kismat ka dekho..aaj tum na mile...


dil ki dhadkano ko samjhana sikh lo,
kya manga khuda se bataya nahi jaata
hoton ki galti nahi isme, kabhi dosti ki gehrayi ko
alfajon ke jariye jataya nahi jaata

www.technozion.org